Skip to content

Faiz Ahmed Faiz Poetry(Shayari) in Urdu or Hindi

    faiz ahmed faiz poetry

    Hum dekhenge
    Lazim hai ke hum bhi dekhenge
    Wo din ke jis ka wada hai
    Jo lauh-e-azl mein likha hai

    Jab zulm-o-sitam ke koh-e-garan
    Rooi ki tarah ur jaenge
    Hum mehkoomon ke paaon tale
    Ye dharti dhar dhar dharkegi
    Aur ahl-e-hakam ke sar oopar
    Jab bijli kar kar karkegi

    Jab arz-e-Khuda ke kaabe se
    Sab but uthwae jaenge
    Hum ahl-e-safa mardood-e-harm
    Masnad pe bethae jaenge
    Sab taaj uchale jaenge
    Sab takht girae jaenge

    Bas naam rahega Allah ka
    Jo ghayab bhi hai hazir bhi
    Jo manzar bhi hai nazir bhi
    Utthega an-al-haq ka nara
    Jo mai bhi hoon tum bhi ho
    Aur raaj karegi Khalq-e-Khuda
    Jo mai bhi hoon aur tum bhi ho